Reading Score Earn Points & Engage
Horror

The blood of village

The Blood of the Village Rajasthan apni bhavya virasat aur romanchak kahaniyon ke liye mashhoor hai, lekin yahan ki kuch sachaiyan itni daravni hain ki unpar yakin karna mushkil ho jata hai. Bhangarh kila to pehle se hi bhutiya kisse kahaniyon ke liye prasiddh hai, lekin isse 15 km door ek aisa gaon tha, jiska itihas aur bhi bhayanak tha. Mera naam Vinay hai, aur main ek paranormal expert hoon. Mera assistant Rahul aur main sarkari jaanch ke liye Bhangarh kila aaye the. Hum ek hotel mein rukey, jahan ek room cleaner ki maut ho gayi—jo ki hamare hi room no. 132 mein kaam kar raha tha! Jab hum us jagah pahunchi, ek aur body hamare samne gir gayi, jisme teer ghuse the, aur khoon fountain ke paani se milkar laal ho raha tha. Hum ghabraye hue hotel se nikle, lekin raste mein hamari gaadi band ho gayi. Driver ne kaha ki uska gaon paas hi hai, waha hum raat bita sakte hain. Gaon pahunchte hi humne dekha ki waha mela laga tha, par jaise hi hum andar gaye, sab log hume ajeeb tareeke se ghoorne lage—unke chehre par ek lambi hasi thi. Driver ne hume apne ghar le jaakar bitha diya. Uski maa ek jagah bina hile baithi thi, aur uski beti hamesha muskurati rehti thi. Jab maine usse naam poocha, to usne sirf aankhein badi karke dekha. Maine driver se pucha—"Yeh sab kya hai?" Usne bas muskurakar kaha—"Mehad gaon ki kahani suni hai?"

Mar 15, 2025  |   8 min read

K

Kanishk
The blood of village
More from Kanishk
0
0
Share
THE BLOOD OF VILLAGE

Rajasthan ek mashhor aur romanchik jagah jaha ke kile aur unki archtechure puri duniya mein pahachane jate hai. jaha ek taraf iski sundarta batai jati hai to dusri taraf iski daravani sachchai chhupai jati hai Waise yaha horror kisse to bahut hai, lekin banghar se 15 km dor us gao ka itihas hi khuch esa tha ki uspe yakin kar panaa mushkil tha.

Namaskar mein Vinay, mein apko apne jivan ka wo kissa sunne ja raha hu jisse meri puri jindagi hi badal di. Mein ek paranormal expert hu. mene jindagi mein bahut se jokhim uthae hai purntu us gaon ke bare mein soch kar hi meri halat patli ho jati.

Bangarh kila ju kudh mein hi ek mistry hai, mein aur mera assistant Rahul jo mera bachchapan ka dost bhi hai. Hum us kile ki kisse kahniya sunkar uski jach karne aye the. hume yah kam government ne diya tha jo hame uspar achhi rakam dene wale the. wese hame dar tu lag raha tha parantu, nukari ka sawal tha, karna tu pade ga! isliye hum bina parwah ke wahe ke liye apna safar suru kiya.

Hum sham ke waqt tak kile ke sabse pass wale station par uttar gaye the. Kila wahe se lagbhag 35 kilometer tha aur hotel 10 kilometer to hamne socha kyo na pahle wahi jaye. fir hamne wahe se taxi karke pahle hotel gaye. Wahaa hamne thodi rest ki aur raat ke 9 baje nikalne ka socha. dinner karke hotel se gadi leke chal diye. Hame wahaa ka rasta nahi malum tha iske liye hamne hotel se driver bhi kar liya tha.

Driver ko aane mein abhi time tha isliye hamne socha ki us kile ke bare mein thodi puchtaj hi kar lete hai. Hotel to wahaa kuch mahine pahle hi bana tha isle wahaa kisi ko uske bare mein itna nahi pataa tha. Hum phir hotel ke bahar jake puchtaj karne chale gaye. Hotel ke samne ek chai ka ek stall tha. Wahaa ek chaiwala aur ek budha wyakti tha. Humne chaiwale se us kile ke bare mein puchha, "kaka, kya app bangadh kile ke bare mein kuch jante ho.''

Itne mein budha wyakti dusari taraf dekhke bolne laga,"hmm! manjil ri khoj chhod, safar ro majo le."

Yaha kah kar wo wahaa se chale gaye. mein unhe rokne. gaya lekin wo chale gaye.

Tabhi ek room cleaner ki maut ki kabar ayi jo ki room no. 132 ko saf karte karte niche gir gaya jo ki hamara hi room tha. Hum turant hi waha pahuch gaye lekin wahaa par koi nahi tha. hame laga kisi ne yas koi baddha sa majak kiya hai jese hi hum gadi ki taraf badane lage wese hi thik hamre samne kisiki body upar se giri. hum dono bhochakke ho gaye! charo aur jese sannata cha gaya ho. hamne hosh sambhala aur us body ki taraf dekhne lage.

wah body sidhe balcony ke thik niche bane fountain ki ralling ke arrows par ja giri, jisse usme kul tin tir ghus gaye. Body ke girte hi usme se khon ki dharaye nikalne lagi. ek tir body ki khopdi me gusa jo ki do no akho ke bich me ghus gaya jisse uske siir me daraar ban gayi aur uski ek tarf ki akha nikal kar latakne lagi. ek tir uske gale me gusa jisse uske gale ki nase kat gyi aur, use kuch hilte huye saf dikh raha tha jese ki wah marne se pahale kuch kah raha tha. Akhiri tir uske baye per ke ghutne ke thik ja gusa jisse uska mass edi tak phat gya aur latakne lage. Asa bhayawah drashya dekh mera man gabhara gaya aur mere dost ko tu ultiya hone lagi.

Iss hatse ke turant baad wahaa bhid lag gayi. Hamri gadi bhi usi waqt aa gayi. hum sidhe jake gadi mein beth gaye. Driver ne pucha,"kya hua saab waha itni bhid kyu hui ha.'' Mere kuch bolne ki himmat nahi ho rahi thi kyuki mere samane se waha drishya hat hi nahi rahaa tha, Uska wah bhayanak chehra, fountain ka pani khoon se laal ho kar udna, uska wo dekhna, mere sharir me jesse kamppan chhodne laga. Mere dost ki tu ulti kar kar ke hi bura haal ho gaya tha. Mahaj use ek hatsa samaj kar bhulne ki kushis kar rahe thi.

Itne mein drive bola,"kya yaha par fir se kisi ki maut hui ha kya sir."yaha sunkar mere tu hush uud gya! jaise yah use roj hote dekha ho. Itne mein driver aur bolne laga,"Are sir, ye iis hotal mein roj ka hai. Yahaa hafte mein ek aat maut ho hi jati hai. Kehte hai ki yahaa par Mehad gaon ke log kam karne aate the. Wo yaha rasoi aur raat mein sangeet rakha karte the. Kahte hai ki wo dil ke bahut saaf the aur apni boli se sabka din bana ke rakhte the. Chalo sir, mein apko unki kahani batata hu. Aise apna safar bhi kat jayega aur thudi jan-pahchan bhi ban jayegi." Driver ki baat se mere dhyaan jese us accident se hat gaya tha.

Woh age bolta itane mein gadi achhanak band ho gayi. Driver use start karne ki koshish par gadi start nahi ho pa rahi thi. hum gadi se niche utar gaye. Mere dost ki halat ab behatar thi. driver gadi ka bonat khola to usme se dhua ane laga.

Aas-pass dur-dur tak ghana andhera tha aur lambi lambi jhadiya alag hi mahsus ho rahi thi, hawa se un jhadiyo ka hilna aur chand ki maddadh roshni un jhadiyo ke bich mein se ati hui alag hi ahasas la rahi thi charo aur shanti aur mithi mithi thandi lahar alag hi anand la rahi thi.

Driver gadi ko dekh thik karne laga aur hum dono shanti ka anand lene lage. hame ane wali musibato ka andaja nahi tha. Driver ne bola," sir ye gadi ko thik hone mein bahut samay laga jayega ek kam karte hai, pass hi mein mera gaon hai app waha chaliye. Wahaa garage mein gadi thik hone ke liye bhi rakh dunga aur apko wahi se dusri gadi bhi dilwa dunga. Isi bahane app mere gaon bhi dekh lena, kesa laga mera idea." driver haste hue bola.

Humdono ek dosare ko dekhne lage. Fir mein bola,''haa thik hai, tu app hame apne gaon le jaye wahaa se hum dosri gadi le lenge."

Fir rahul bola," wese kahaa hai apka gaon?''

"mera gaon us our us kachchi pagdandi se kuch 550 foot undar hai mera gaon.''Driver ne sadak ke bayi taraf ishara karke bola.

"tu aapki ye gadi ka kya?" Mene driver se puchha.

driver kuch na bola aur chhup chap uske gaon ki our jane lagaa.

Phir rahul bola,"kya tu uski gadi ki chhinta kar rahaa hai, uska gaon pass mein hi tu hai, le jayega. ab tu bhi chal, warna tujhe is bhihad mein koi kha na jaye. warna sare paise mujhe hi lene padenge."Rahul haste huye bola.

"haa sir, yahaa bahut se janwar rahte hai. khoon ke pyase, do peir wale. Bade khatarnak hai sir. Bach ke rahiye ga!."Driver ne halki si hasi ke sath bola.

Main bhi thoda muskara kar chal diya. Thodi der mein hum driver ke gaon pahuch gaye. wahaa ek bahut bada gate tha, pura lakdi ka jese frame tha. Wahaa puche tu dikha ki wahaa tu jese mela laga ho charo taraf bhid. bhic me bargad ke ped se light ki lade ass pass ke ghar tak latki hui thik. kahi par bachcho ke jhule lage hue the, tu kahi par chaat, pan, inam jeeto ki dukane lagi hui thi. Magar mujhe yah samajh nahi aa raha tha ki itni chakachond hame raste mein dikhi kyu nahi kyu raste paar dur dur tak kewal andhera tha, dur dur tak itni lights to kya, ek chota sa bulb bi jalte hue nahi dikha. Shayad badi-badi jhadiyo ki wajah se nahi dikha. Sab dur jaise koi tyohar banaya ja raha ho.

jaise hi hum andar pahuche gaon puri tarah se shant ho gaya aur sab log hame ghorne lage. Wo sab hame ase dhek rahe the jaise hamne unki khushiyo mein bhadha ka kam kiya ho. Driver hame uske ghar mein le gaya. Driver ek jhopadi mein rahta tha. Uske sath uski patni, uski maa aur uski ek 8 saal ki bachchi bhi thi, jo thodi ajib thi. Wo hamesha apni shakal pe ek lambi hasi rahti thi. Wo jab bhi hame dekhti to apni palak bhi nahi jhapkati.

Driver hame jhupadi ke andar le gaya aur hame andar ek khat par betha diya aur wo nahane bahar chale gaya. Usi khat ke baghal mein ek dusri khat bhi lagi hui thi jispar driver ki maa bethi hui thi. Wo bilkul sthir bethi hui thi, na hil rahi thi na hi khuch bol rahi thi. Wo sirf ek tok se darwaje ki taraf dekh rahi thi, bilkul chhup aur sthir.

Hum khaat pe bethe aur driver ki beti hamare liye pani le kar ayi.

"thank you, beta tumhara naam kya hai?" Mene driver ki beti se puchha. Usne apni akhe badi kari aur hasthi hui kitchen ki taraf chali gayi. Tabhi mere dost ne mujhe ishara karte hue, khidki ki aur dekhne ko kahaa. Wo dekh kar mere rongate khade ho gaye. Mene dekha ki gaon ke kuch log hame dekh kar ghure ja rahe the. Wo bhi driver kii beti ke jese ek lambi hasi ke saath, hame ghurate ja rahe the. Shayad jese ki wo kisi dusare insan ko pahli baar dekh rahe the. Hamne yahi soch kar unki taraf dekhana chhod diya aut apas mein baat karne lage.

Kuch hi samay mein driver ki beti jiska hame naam nahi pata wo wahaa hamare liye chai lekar ayi. Hamne chai ka cup liya aur mene usse wahi sawal pucha, ki tumhara kya naam hai?. Usne phir se wesa hi expression diya. Lekin is baar wo gayi nahi. Shayad wo.... Shayad wo hamare chai khatm karne ka intazar kar rahi thi.

Humne chai pee kar wapas cup ko tray pe rakh diya. Pehle mene rakha aur mere baad rahul ne. Rahul ke cup rakhte hi rahul ajeeb bartav karne lagaa. Wo bhi ab uus ladki ke jasi hasi muh par le ayaa. Meri najar rahul ke hath par gayaa uska hath us ladki ne pakad rakha tha tabhi driver nahaa kar aata hai aur apni beti ka hath rahul ke hath se alag kiya. Mujhe aisa laga jaise mein nind utha hu aur driver ki beti jaise ek dum se gayab ho gayi.

Driver towel se apna badan pochhne laga, tab mujhe laga ki mein usse wo hotel main aane wale un gaon walo ke baare mein puchh lu."Driver ji, wase apne apna naam nahi bataya?" mene pahle uske baare mein janane ka sochha.

"Mera naam, naam jankar kya karoge sir. Wese mujhe yahaa sab nanihaji ke naam se jante hai. Lagta hai apko kuch jaanana hai humse. Kahi apko un gaon walo ke baare mein to jaanana nahi chahte?"

Main soch mein pad gaya tabhi meine jawaab diya."haa, mein jaanana chahta ho ki us room cleaner ki maut ka raaj kya hai, kya hai un mehad gaon ke logo ki kahani."

Driver ne towel ko rakh kar uski maa ke pass jake beth gaya aur use sahalane laga.

Please rate my story

Start Discussion

0/500